Friday, October 19, 2012

FROM THE DRAFT OF MY THIRD BOOK

jaam le lo pyar ka,
ab sath me behka karenge,
ek kyari me khile,
phoolon se hum,
mehka karenge.

thoda paas aa jaogi,
ghar aasma ho jayega,
roz suraj chaand se,
angan me hi,
nikla karenge.

main kalam ho jaoonga,
tum syahi si,
bhar jana mujhme,
ek panne se fir,
jud jayegi takdeer apni,
kabhi gazal kabhi geet se,
har sham hum,
nikhra karenge.

is janam toh door ho,
agle janam ho ik gali,
ek hi chaupal, ik maidan,
ik talaab me,hath me le hath fir,
hum sath me ucchla karenge.

ek titlee si jo bann ke,
ud rahi hai neend me,
tum se mil jane ki chahat,
khwab ye janmo ka hai,
aa bhi jao khwab titlee,
sath me pakda karenge.

ye nahi mumkin,
bhula doon main tumhe,
ya tum mujhe,
ek dori se bandhi hai,
zindagi teri meri,
ek dil mil jaye jo,
chu lene ko khushbu teri,
daal kar usey daal par,
fir sath me jhoola karenge.

main jo likhta yaad me,
fariyad tere naam ki,
ik kahani bann ke na,
reh jaye ye gumnaam si,
tum sanjo ke sath le ana,
ye aadhe geet sab,
raat bhar kandhe pe sar rakh kar,
sunaoonga tumhe,
in dinon ki yaad me,
fir sath me roya karenge.